Tuesday 3 April 2012

Chalo kuch din ke liye dunya chhor dete hain Faraz,
suna hai log bohat yaad karte hai chale jane ke baad...


Tere baad na aayega meri zindagi ma koi aur Faraz,
ek maut hai ke jiski hum Qasam nahi detay…


Humne muhabtain chord deen Faraz,
tanha raat din ka tadpna hamaray bas ki baat nahi...


Kya koi subaho nahi apne muqaddar me Faraz,
raat dhalti hai to phir raat nikal ati hai...


Hum zamanay mein yunhi bewafa mashoor ho gaye Faraz,
hazarooN chahnay wale the kis kis se wafa karte...

Mere kahny se na paband-e-wafa ho jana,
dil na many to kisi waqt juda ho jana,
na chaho jan se ziada kise ko Faraz,
tumne dekha nahiN bandoN ka khuda ho jana.
Kabhi to teri palkooN pay jhilmilaouN main,
tu intizaar karay aur aaouN main...
Samandar main lay ja kar fareb mat dena Faraz,  
Tu kahe to kinaray pe hi DOOB jaouN main..

Apna samaj kar jiske liye ujar gaye hum Faraz...
wo kal ja raha tha kisi ajnabi k saath..

HaseeN yadoon ky kuch mosam use arsal karne hain Faraz...
Suna hay sham ko tanhai use sone nahi dati.

Main simtnay ke liye har bar tum se milta huN Faraz...
tum se milta huN to kuch aur bikhar jata huN..
  
Phir se niklenge Talash-e-Zindagi me Faraz... 
Dua karna is bar koi bewafa na miley..

Tum mujhe rooh mein hi basaa lo Faraz...
dil-o-jaan ke rishte aksar toot jaya karte hain..

Fasale ghata dete hain dilon ki nafratoN ko Faraz...
Wo jo dur hue to kuch mohabbat si hone lagi..

Hum to agaaz-e-muhabbat me hi lut gaye Faraz...
Aur log kahte hain ki anjaam bura hota hai..
It is not a two liner but one of the best gazals of him.

Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,
Ab mar gaye hain to mitti main dafanany aagaye..
Chor ke dunya ko madhosh huye thy hum,
Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye..
Na janay kis se pucha hai wafa ne pata mera,
Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye..
Hum to andhere main sonay k aadi they,
Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye..
Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se Faraz,
Mar gaye hain to ab qabar pe aansu bahane aagaye..
Shiddate dard se sharminda nahi meri wafa Faraz..
dost gahre han to phir zakhm bhi gahre honge..


Waqt-e-Qudrat lay aya hai aj humaiN usi gajah par Faraz...
Chal diy usi matti main jis ke hum amanat thy..


Meri aankheN bhi mujhse ek din yeh keh dengi Faraz...
Khuwab uske na dekha karo hum se ab roya nahi jata..

Bin maange hi mil jati hain taabeeraiN kisi ko Faraz...
Koi khaali haath reh jata hai hazaroN duaoN ke baad..

Dil ke rishtoN ki nazaka wo kya janey Faraz...
Naram lafzoN se bhi lag jati hai ChotaiN aksar..
Tum is shehar k khuloos se waqif nahi Faraz...
Ye to Mohsin ko bhi sar-e-aam saza daitay hain.

Hasrat to thi ki tere aankh ka ansu ban jaoun Faraz...
Par tu Roye Ye humko GAwara nahi..


Tumko naraz hi rahna hai to kuch baat karo Faraz...
Ke chup rehnay say mohabbat ka gumaan hota hai..

Muhabbat ke bad bhi muhabbat mumkin hai Faraz...
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai..

Kaun tolega abb herooN main hamare ansooN Faraz..
Wo jo dard ka tajir tha dukan choor gaya..