Tuesday 3 April 2012

Chalo kuch din ke liye dunya chhor dete hain Faraz,
suna hai log bohat yaad karte hai chale jane ke baad...


Tere baad na aayega meri zindagi ma koi aur Faraz,
ek maut hai ke jiski hum Qasam nahi detay…


Humne muhabtain chord deen Faraz,
tanha raat din ka tadpna hamaray bas ki baat nahi...


Kya koi subaho nahi apne muqaddar me Faraz,
raat dhalti hai to phir raat nikal ati hai...


Hum zamanay mein yunhi bewafa mashoor ho gaye Faraz,
hazarooN chahnay wale the kis kis se wafa karte...

Mere kahny se na paband-e-wafa ho jana,
dil na many to kisi waqt juda ho jana,
na chaho jan se ziada kise ko Faraz,
tumne dekha nahiN bandoN ka khuda ho jana.

No comments:

Post a Comment