Tuesday 20 December 2011

Ab maayos qu ho uski bewafai pe Faraz,
tum khud hi to kehty thy ki wo sab se juda hai..

Usse milte hi yeh ehsas hua tha mujhko Faraz,
ye wohi shaks hai jo lambi judai dega...

Kaun deta hai umer bhar ka saath Faraz,
log to janaze me bhi khaande badalte rehte hain...

Tum bar bar kyu dete ho parindo ki missal ae Faraz,
Saaf saaf kiyun nahi kehte ke mera shehar chhor do...

Monday 19 December 2011

Mere lafzoN ki pehchan agar kar laita wo Faraz,
Uasy mujse nahi khud say muhabbat ho jati...

Kaun deta hai umar bhar ka sath Faraz,
log to janaaze me bhi kandhe badalte rahte haiN...

Ab use rooz na sochuN to badan toot’ta hai Faraz,
umr guzri hai uski yaad ka nasha karte karte...
Kuch isliay bhi tumse mohabat hai Faraz,
ki mera to koi nai tera to koi ho...

Bohat ajeeb hain yeh bandisheN Muhabbat ki Faraz,
aa usne qaid me rakha na hum farar hue...

In BarishoN se dosti achi nahi FARAZ,
kaccha makan hai tera, kuch yu khayal kar...

Teri mehfil se nikle, kisi ko khabar tak na hui faraz,
tera mud mud ke dekhna hameN badnaam kar gaya...

Shayad tu kabhi pyasa meri taraf laut aaye faraz,
aankhoN main liye phirta hoon daria teri khatir...